Popular Posts

Saturday, October 26, 2013

leta nahiN mere dil-e-aavaarah ki Khabar

leta nahiN mere dil-e-aavaarah ki Khabar
ab tak woh jaantaa hai ke mere hi paas hai
~Ghalib

لیتا نہیں مرے دلِ آوارہ کی خبر
اب تک وہ جانتا ہے کہ میرے ہی پاس ہے



She does not enquire about my wandering heart
She probably thinks that it is still with her

mehboob mere dil ki khabar nahin leta
usey itminaan hai ke mera dil uss ke qabze mein hi hoga
woh mere dil ki beqaraari aur shokh tabiyat se anjaan hai
ye dil tawajjoh ka khwaaha hai aur isi ki justiju mein rehta hai
uss ghafil ko ye ilm nahin hai ke mere dil ko us ke taghaful ne hijrat par majoboor kar diya hai
ab yeh dil dobaara koi naya thikaana dhoondhne nikal chuka hai, aur
bekhabar mehbooba ko is ka ilm bhi nahin hai.

"mere hi paas hai" ke do maani hain:
1. Mehbooba ke paas hai
2. Khud shayar ke paas hai
main ne pehle maani ko istemaal kiya hi tashreeh mein.

The beloved is ignorant and does not know the restlessness of my heart
She belives that once having taken my heart it will always be hers
That it cannot escape her
She has grown negligent toward it
My heart craves attention
so it has already fled
and yet she does not know

No comments:

Post a Comment