Mehfil e Ghazal
ham tujh se kis hawas kii falak justajoo kareN - Khwaja
Mir Dard
ham tujh se kis hawas kii falak justajoo kareN dil hii naiiN rahaa hai jo kuchh aarazoo kareN tar_daamanii pe shaiKh hamaarii na jaayiye daaman nichhoR deN to farishte wazoo kareN har chand aa_iina hooN par itanaa hooN naqubool mooNh pher le wo jis ke mujhe roo_ba_roo kareN na gul hai sabaat na ham ko hai aitabaar kis baat pe chaman hawas-e-rang-o-boo kareN
laa_ii
hayaat aaye qazaa le chalii chale - Ibrahim Zauq
laa_ii hayaat aaye qazaa le chalii chale na apanii Khushii aaye na apanii Khushii chale [qazaa=death] behatar to hai yahii ke na duniyaa se dil lage par kyaa kareN jo kaam na bedillagii chale ho umr-e-Khizr bhii to kaheNge ba_waqt-e-marg ham kyaa rahe yahaaN abhii aaye abhii chale [ba_waqt-e-marg=at the time of death] duniyaa ne kis kaa raah-e-fanaa meN diyaa hai saath tum bhii chale chalo yooN hii jab tak chalii chale [fanaa=cessation of life, end] naazaaN na ho Khirad pe jo honaa hai vo hii ho daanish terii na kuchh merii daanishwarii chale [naazaaN hona=to be proud; Khirad=intellect] [daanish=intellect] kam hoNge is bisaat pe ham jaise bad_qimaar jo chaal ham chale vo nihaayat burii chale jaate hawaa-e-shauq meN haiN is chaman se 'Zauq' apanii balaa se baad-e-sabaa kahiiN chale [baad=wind]
garmii-e-hasrat-e-naakaam
se jal jaate haiN - Qateel Shifai
garmii-e-hasrat-e-naakaam se jal jaate haiN ham charaaGoN kii tarah shaam se jal jaate haiN jab bhii aataa hai meraa naam tere naam ke saath jaane kyuuN log mere naam se jal jaate haiN Khud_numaa_ii to nahiiN shevaa-e-arbaab-e-wafaa jin ko jalanaa ho wo aaraaam se jal jaate haiN bach nikalate haiN agar aatish-e-sayyaad se ham sholaa-e-aatish-e-gul_faam se jal jaate haiN shamaa jis aag meN jalatii hai numaa_ish ke liye ham usii aag meN gum_naam se jal jaate haiN
aap
kii yaad aatii rahii raat bhar - Makhdoom Mohiuddin
aap kii yaad aatii rahii raat bhar chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar raat bhar dard kii shammaa jalatii rahii Gam kii lau thar_tharaatii rahii raat bhar baaNsurii kii sureelii suhaanii sadaa yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar yaad ke chaaNd dil meN utarate rahe chaaNdanii jagamaatii rahii raat bhar ko_ii deewaanaa galiyoN meN phirataa rahaa ko_ii aawaaz aatii rahii raat bhar
wafaa ke bhes meN ko_ee raqeeb-e-shahar bhii hai - Ahmed
Faraz
wafaa ke bhes meN ko_ii raqeeb-e-shahar bhii hai hazar! ke shahar ke qaatil tabeeb-e-shahar bhii hai wahii sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaroN taraf jo mere baKht meN thaa ab naseeb-e-shahar bhii hai udhar kee aag idhar bhii pahuNch na jaaye kahiiN hawaa bhii tez hai jangal qareeb-e-shahar bhii hai ab us ke hijr meN rote haiN us ke ghaayal bhii Khabar na thii ke wo zaalim habeeb-e-shahar bhii hai ye raaz naaraa-e-mansoor hii se ham pe Khulaa ke choob-e-mimbar-e-masjid saleeb-e-shahar bhii hai kaRee hai jang ke ab ke muqaabile pe 'Faraz' ameer-e-shahar bhii hai aur khateeb-e-shahar bhii hai
judaa_ii
ho ke milan har adaa hamaarii hai - Manzar Bhopali
judaa_ii ho ke milan har adaa hamaarii hai tumhaaraa shahar hai lekin fizaa hamaarii hai shikaayateN bhii kareN ham to kis zabaan se kareN Khudaa banaayaa ham ne ye Khataa hamaarii hai [Khataa = mistake] hamaare jism kii uriyaanat pe mat haNsanaa ke tum jo oRhe huye ho wo ridaa hamaarii hai [uriyaanat = nakedness/nudity; ridaa = cloak/sheet] hamaare saamane zebaa nahiiN Guroor tumheN jahaaN pe baiThe ho tum wo jagaa hamaarii hai [zebaa nahiiN = does not suit; Guroor = pride] [jagaa = place(jagah)]
Gazab kiyaa tere waade pe aitabaar kiyaa - Daag Dehlvi
Gazab kiyaa tere waade pe aitabaar kiyaa tamaam raat qayaamat kaa intazaar kiyaa [tamaam=whole] haNsaa haNsaa ke shab-e-wasl ashk_baar kiyaa tasalliyaaN mujhe de-de ke beqaraar kiyaa ham aise mahw-e-nazaaraa na the jo hosh aataa magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa fasaana-e-shab-e-Gam un ko ek kahaanii thii kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa_aitabaar kiyaa ye kis ne jalwaa hamaare sar-e-mazaar kiyaa ki dil se shor uThaa haaye beqaraar kiyaa taRap phir ai dil-e-naadaaN ki Gair kahate haiN aaKhir kuchh na banii sabr iKhtiyaar kiyaa [sabr=patience] bhulaa bhulaa ke jataayaa hai un ko raaz-e-nihaaN chhipaa chhipaa ke mohabbat ko aashakaar kiyaa [raaz-e-nihaaN = hidden secret; aashakaar=reveal] tumheN to waadaa-e-deedaar ham se karanaa thaa ye kyaa kiyaa ke jahaaN ko ummeed_waar kiyaa ye dil ko taab kahaaN hai ke ho maalandesh unhone waadaa kiyaa ham ne aitabaar kiyaa na poochh dil kii haqeeqat magar ye kahate haiN wo beqaraar rahe jis ne beqaraar kiyaa kuchh aage daawar-e-mahashar se hai ummeed mujhe kuchh aap ne mere kahane kaa aitabaar kiyaa [daawar-e-mahashar=the judge presiding on the day of judgement i.e. God]
roTiyaaN
- Nazeer Akbarabadi
jab aadamii ke peT meN aatii haiN roTiyaaN phoolii nahiiN badan meN samaaatii haiN roTiyaaN aaNkheN parii_ruKhoN se laRaatii haiN roTiyaaN siine oopar bhii haath chalaatii haiN roTiyaaN jitane maze haiN sab ye dikhaatii haiN roTiyaaN roTii se jis kaa naak talak peT hai bharaa karataa phire hai kyaa wo uchhal kood jaa ba jaa diiwaar phaaNd kar ko_ii koThaa uchhal gayaa ThaaThTha haNsii sharaab sanam saaqii is siwaa sau sau tarah kii dhoom machaatii haiN roTiyaaN jis jaa pe haaNDii choolhaa tawaa aur tanoor hai Khaaliq ke qudaratoN kaa usii jaa zahoor hai choolhe ke aage aaNch jo jalatii hazoor hai jitane haiN noor sab meN yahii Khaas noor hai is noor ke sabab nazar aatii haiN roTiyaaN aawe tawe tanoor kaa jis jaa zabaaN pe naam yaa chakkii choolhe kaa jahaaN gul_zaar ho tamaam waaN sar jhukaa ke kiijiye DanDawat aur salaam is waaste ke Khaas ye roTii ke haiN muqaam pahale inhiiN makaanoN meN aatii haiN roTiyaaN in roTiyoN ke noor se sab dil haiN poor poor aaTaa nahiiN hai chhalanii se chhan chhan gire hai noor peRaa har ek us kaa hai barfii-o-motii choor har_giz kisii tarah na bujhe peT kaa tanoor is aag ko magar ye bujhaatii haiN roTiyaaN poochhaa kisii ne ye kisii kaamil faqiir se ye mehr-o-maah haq ne banaaye haiN kaahe ke wo sun ke bolaa baabaa Khudaa tujh ko Khair de ham to na chaaNd samajhe na sooraj haiN jaanate baabaa hameN to ye nazar aatii haiN roTiyaaN phir poochhaa us ne kahiye ye hai dil kaa noor kyaa is ke mushaahide meN hai khulataa zahoor kyaa wo bolaa sun ke teraa gayaa hai sha_oor kyaa kashf-ul-quloob aur ye kashf-ul-quboor kyaa jitane haiN kashf sab ye dikhaatii haiN roTiyaaN roTii jab aa_ii peT meN sau qand ghul gaye gul_zaar phoole aaNkhoN meN aur aish tul gaye do tar niwaale peT meN jab aa ke dhul gaye chaudaa tabaq ke jitane the sab bhed khul gaye ye kashf ye kamaal dikhaatii haiN roTiyaaN roTii na peT meN ho to phir kuchh jatan na ho mele kii sair Khwaahish-e-baaG-o-chaman na ho bhooke Gariib dil kii Khudaa se lagan na ho sach hai kahaa kisii ne ke bhooke bhajan na ho allaah kii bhii yaad dilaatii haiN roTiyaaN ab jin ke aage maal_puye bhar ke thaal haiN poorii bhagat unhiiN kii wo saahab ke laal haiN aur jin ke aage rauGanii aur shiir_maal hai aarif wohii haiN aur wohii saahab kamaal haiN pakii pakaa_ii ab jinheN aatii haiN roTiyaaN kapaRe kisii ke laal haiN roTii ke waaste lambe kisii ke baal haiN roTii ke waaste baaNdhe ko_ii rumaal hai rotii ke waaste sab kashf aur kamaal haiN rotii ke waaste jitane haiN roop sab ye dikhaatii haiN roTiyaaN roTii se naache piyaadaa qawaayad dikhaa dikhaa asawaar naache ghoRe ko kaawaa lagaa lagaa ghungharoo ko baaNdhe paik bhii phirataa hai naachataa aur is ke siwaa Gaur se dekho to jaa ba jaa sau sau tarah ke naach dikhaatii haiN roTiyaaN duniyaa meN ab badii na kahiiN aur niko_ii hai na dushmanii wa dostii na tund kho_ii hai ko_ii kisii kaa aur kisii kaa na ko_ii hai sab ko_ii hai usii kaa ke jis haath Do_ii hai naukar nafar Gulaam banaatii haiN roTiyaaN roTii kaa ab azal se hamaaraa to hai Khamiir rookhii bhii roTii haq meN hamaare hai shahad-o-shiir yaa patalii howe moTii Khamiirii ho yaa katiir gehooN ju_aar baajare kii jaisii ho 'Nazeer' ham ko sab tarah kii Khush aatii haiN roTiyaaN
kabhii
yooN bhii aa merii aaNkh meN ke merii nazar ko Khabar na ho
mujhe ek raat nawaaz de magar us ke baad sahar na ho [nawaaz - to grant] wo baRaa raheem-o-kareem hai mujhe ye sifat bhii ataa kare tujhe bhoolane kii duaa karooN to duaa meN merii asar na ho [raheem-o-kareem - kind & generous; sifat - talent] mere baazuoN meN thakii thakii abhii mahw-e-Khwaab hai chaaNdanii na uThe sitaaroN kii paalakii abhii aahaToN kaa guzar na ho ye Gazal ki jaise hiran kii aaNkhoN meN pichhalii raat kii chaaNdanii na bujhe Kharaabe kii roshanii kabhii becharaaG ye ghar na ho wo firaaq ho yaa wisaal ho terii yaad mahakegii ek din wo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiraaG ban ke jalaa na ho kabhii dhoop de, kabhii badaliyaaN, dil-o-jaaN se donoN qubool haiN magar us nagar meN na qaid kar jahaaN zindagii kii hawaa na ho kabhii din kii dhoop meN jhoom ke kabhii shab ke phool ko choom ke yooN hii saath saath chaleN sadaa kabhii Khatm apanaa safar na ho [shab - night] mere paas mere habeeb aa zaraa aur dil ke qareeb aa tujhe dhaRakanoN meN basaa looN maiN ke bichhaRane kaa kabhii Dar na ho [habeeb - beloved]
sochaaa
nahiiN achhaa buraa dekhaaa sunaa kuchh bhii nahiiN - Bashir Badr
sochaaa nahiiN achhaa buraa dekhaaa sunaa kuchh bhii nahiiN maaNgaa Khudaa se raat din tere siwaa kuchh bhii nahiiN dekhaa tujhe sochaa tujhe chaahaa tujhe poojaa tujhe merii Khataa merii wafaa terii Khataa kuchh bhii nahiiN jis par hamaarii aaNkh ne motii bichhaaye raat bhar bhejaa wahii kaaGaz use ham ne likhaa kuchh bhii nahiiN ik shaam kii dahaleez par baiThe rahe wo der tak aaNkhoN se kii baateN bahut mooNh se kahaa kuchh bhii nahiiN do chaar din kii baat hai dil Khaak meN so jaayegaa jab aag par kaaGaz rakhaa baaqii bachaa kuchh bhii nahiiN ehasaas kii Khushboo kahaaN aawaaz ke juganoo kahaaN Khaamosh yaadoN ke siwaa ghar meN rahaa kuchh bhii nahiiN |
|||
Copyright (c) Rb Ansari 2012
No comments:
Post a Comment