jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho ai jaan-e-jahaa.N ye ko_ii tum saa hai ke tum ho ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jho.nkaa hai ke pal hai ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho is diid kii sa_aat me.n ka_ii rang hai.n larazaa.N mai.n huu.N ke ko_ii aur hai duniyaa hai ke tum ho dekho ye kisii aur kii aa.Nkhe.n hai.n ke merii dekhuu.N ye kisii aur kaa cheharaa hai ke tum ho ye umr-e-gurezaa.N kahii.n Thahare to ye jaanuu.N har saa.Ns me.n mujh ko ye lagataa hai ke tum ho har bazm me.n mauzuu-e-suKhan dil zad_gaa.N kaa ab kaun hai shiirii.n hai ke lailaa hai ke tum ho ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke mai.n huu.N ik mauj me.n aayaa huaa dariya hai ke tum ho vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhii soche is shahar me.n tanhaa ko_ii ham saa hai ke tum ho aabaad ham aashuftaa saro.n se nahii.n maqtal ye rasm abhii shahar me.n zindaa hai ke tum ho ai jaan-e-'Faraz' itanii bhii taufiiq kise thii ham ko Gam-e-hastii bhii gavaaraa hai ke tum ho
Welcome to the Urdu Poetry Archive! Urdu poetry is like a vast ocean. Walking along its shores on the sands of time, I have gathered a few gems that I would like to share with you.
Pages
Popular Posts
-
Mirza Ghalib and Sir Syed Ahmed Khan Sir Syed Ahmed Khan 1855, Sir Syed Ahmed Khan finished his scholarly, well researched and ...
-
Aaraish-e-Jamal Se Faarig Nahi'n Hannuz Pesh-e-Nazar Hai Aainah Daaim Naqab mei'n Maange Hai Phir Kisi Ko Lab-e-Bam Par...
-
-
Khwaja Haider Ali 'Aatish' was born in 1778 in Faizabad. He died in 1846 in Lucknow. His poems are compiled under 'Deewan-e...
-
بے نام سے سپنے دِکھلا کر اے دل ہر جا نہ پِھسلا کر یہ دیس ہے اندھے لوگوں کا اے چاند یہاں نہ نکلا کر نہ ڈرتے ہیں نہ نادِم ہیں ہاں ک...
-
mar gayaa sadmah-e-yak-junbish-e lab se Ghalib naa-tavaani se hariif-e-dam-e-issi na hua ~Ghalib مر گیا صدمۂ یک جنبشِ لب سے غالب نا ت...
-
Aadat (Khoo) aadatan tum ne kar diye waade aadatan ham ne aitbaar kiyaa [Gulzar] aadat sii banaa lii hai tum ne to "Munir" ap...
-
Raha Gar Koi Ta Qayamat Salamat Phir Ik Roz Marna Hai Hazrat Salamat (GHalib)
-
-
Aate Hai'n Gaib Se Yeh Mazame'n Khayal Me'n Ghalib Sarir-e Khamah Nava-e Sarosh Hai (These themes come into my mind from t...
Friday, May 10, 2013
jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho
Labels:
Ahmed Faraz
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment