saaGar se lab lagaa ke bahut Khush hai zindagii
saaGar se lab lagaa ke bahut Khush hai zindagii sahan-e-chaman me.n aake bahut Khush hai zindagii [saaGar = wine-glass] aa jaao aur bhii zaraa nazadiik jaan-e-man tum ko qariib paake bahut Khush hai zindagii hotaa ko_ii mahal bhii to kyaa puuchhate ho phir be-vajah muskuraa ke bahut Khush hai zindagii [mahal = opportunity or often (it has two meanings)] saahil pe bhii to itanii shagufataa ravish na thii tuufaa.N ke biich aake bahut Khush hai zindagii [saahil = shore; shagufataa = fresh] viiraan dil hai aur "Adam" zindagii kaa raqs jangal me.n ghar banaake bahut Khush hai zindagii [raqs = dance; jangal = forest]
No comments:
Post a Comment