is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai goyaa kii muhabbat nahii.n ehasaan kiyaa hai sochaa thaa ki tum duusaro.n jaise nahii.n hoge tum ne bhii vahii kaam merii jaan kiyaa hai mushkil thaa bahuut mere liye tark-e-ta'alluq ye kaam bhii tum ne meraa aasaa.N kiyaa hai [tark (karanaa) = to give up; ta'alluq = relationship] har roz sajaate hai.n terii hijr me.n Gunche aa.Nkho.n ko terii yaad me.n gul_daa.N kiyaa hai [hijr = separation; Gunche = flower buds] [gul_daan = flower vase]
No comments:
Post a Comment