ho.nTho.n pe kabhii un ke meraa naam hii aaye
ho.nTho.n pe kabhii un ke meraa naam hii aaye aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye hairaan hai.n lab_bastaa hai.n, dil_giir hai.n Gunche Khushbuu kii zubaanii teraa paiGaam hii aaye lamhaat-e-masarrat hai.n tasavvur se gurezaa.N yaad aae hai.n jab bhii Gam-o-aalaam hii aaye taaro.n se sajaa le.nge raah-e-shahar-e-tamannaa maqaduur nahii.n subho chalo shaam hii aaye yaado.n ke vafaao.n ke aqiido.n ke Gamo.n ke kaam aaye jo duniyaa me.n to is naam hii aaye kyaa raah badalane kaa gilaa ham_safaro.n se jis raah se chale tere dar-o-baam hii aaye thak haar ke baiThe hai.n sar-e-kuu-e-tamannaa kaam aaye to phir jazbaa-e-naakaam hii aaye baaqii na rahe saaKh "Adaa" dasht-e-junuu.N kii dil me.n agar andeshaa-e-anjaam hii aaye
No comments:
Post a Comment