Popular Posts

Friday, April 25, 2014

Mehfil e Ghazal Mix poetry



Mehfil e Ghazal






 
ham tujh se kis hawas kii falak justajoo kareN - Khwaja Mir Dard

ham tujh se kis hawas kii falak justajoo kareN
dil hii naiiN rahaa hai jo kuchh aarazoo kareN

tar_daamanii pe shaiKh hamaarii na jaayiye
daaman nichhoR deN to farishte wazoo kareN

har chand aa_iina hooN par itanaa hooN naqubool
mooNh pher le wo jis ke mujhe roo_ba_roo kareN

na gul hai sabaat na ham ko hai aitabaar
kis baat pe chaman hawas-e-rang-o-boo kareN
 
laa_ii hayaat aaye qazaa le chalii chale - Ibrahim Zauq

laa_ii hayaat aaye qazaa le chalii chale
na apanii Khushii aaye na apanii Khushii chale

[qazaa=death]

behatar to hai yahii ke na duniyaa se dil lage
par kyaa kareN jo kaam na bedillagii chale

ho umr-e-Khizr bhii to kaheNge ba_waqt-e-marg
ham kyaa rahe yahaaN abhii aaye abhii chale

[ba_waqt-e-marg=at the time of death]

duniyaa ne kis kaa raah-e-fanaa meN diyaa hai saath
tum bhii chale chalo yooN hii jab tak chalii chale

[fanaa=cessation of life, end]

naazaaN na ho Khirad pe jo honaa hai vo hii ho
daanish terii na kuchh merii daanishwarii chale

[naazaaN hona=to be proud; Khirad=intellect]
[daanish=intellect]

kam hoNge is bisaat pe ham jaise bad_qimaar
jo chaal ham chale vo nihaayat burii chale

jaate hawaa-e-shauq meN haiN is chaman se 'Zauq'
apanii balaa se baad-e-sabaa kahiiN chale

[baad=wind] 

 
garmii-e-hasrat-e-naakaam se jal jaate haiN - Qateel Shifai

garmii-e-hasrat-e-naakaam se jal jaate haiN
ham charaaGoN kii tarah shaam se jal jaate haiN

jab bhii aataa hai meraa naam tere naam ke saath
jaane kyuuN log mere naam se jal jaate haiN

Khud_numaa_ii to nahiiN shevaa-e-arbaab-e-wafaa
jin ko jalanaa ho wo aaraaam se jal jaate haiN

bach nikalate haiN agar aatish-e-sayyaad se ham
sholaa-e-aatish-e-gul_faam se jal jaate haiN

shamaa jis aag meN jalatii hai numaa_ish ke liye
ham usii aag meN gum_naam se jal jaate haiN 
 
aap kii yaad aatii rahii raat bhar - Makhdoom Mohiuddin

aap kii yaad aatii rahii raat bhar
chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar

raat bhar dard kii shammaa jalatii rahii
Gam kii lau thar_tharaatii rahii raat bhar

baaNsurii kii sureelii suhaanii sadaa
yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar

yaad ke chaaNd dil meN utarate rahe
chaaNdanii jagamaatii rahii raat bhar

ko_ii deewaanaa galiyoN meN phirataa rahaa
ko_ii aawaaz aatii rahii raat bhar 
 
wafaa ke bhes meN ko_ee raqeeb-e-shahar bhii hai - Ahmed Faraz

wafaa ke bhes meN ko_ii raqeeb-e-shahar bhii hai
hazar! ke shahar ke qaatil tabeeb-e-shahar bhii hai

wahii sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaroN taraf
jo mere baKht meN thaa ab naseeb-e-shahar bhii hai

udhar kee aag idhar bhii pahuNch na jaaye kahiiN
hawaa bhii tez hai jangal qareeb-e-shahar bhii hai

ab us ke hijr meN rote haiN us ke ghaayal bhii
Khabar na thii ke wo zaalim habeeb-e-shahar bhii hai

ye raaz naaraa-e-mansoor hii se ham pe Khulaa
ke choob-e-mimbar-e-masjid saleeb-e-shahar bhii hai

kaRee hai jang ke ab ke muqaabile pe 'Faraz'
ameer-e-shahar bhii hai aur khateeb-e-shahar bhii hai
 
judaa_ii ho ke milan har adaa hamaarii hai - Manzar Bhopali

judaa_ii ho ke milan har adaa hamaarii hai
tumhaaraa shahar hai lekin fizaa hamaarii hai

shikaayateN bhii kareN ham to kis zabaan se kareN
Khudaa banaayaa ham ne ye Khataa hamaarii hai

[Khataa = mistake]

hamaare jism kii uriyaanat pe mat haNsanaa
ke tum jo oRhe huye ho wo ridaa hamaarii hai

[uriyaanat = nakedness/nudity; ridaa = cloak/sheet]

hamaare saamane zebaa nahiiN Guroor tumheN
jahaaN pe baiThe ho tum wo jagaa hamaarii hai

[zebaa nahiiN = does not suit; Guroor = pride]
[jagaa = place(jagah)]
 
Gazab kiyaa tere waade pe aitabaar kiyaa - Daag Dehlvi

Gazab kiyaa tere waade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intazaar kiyaa

[tamaam=whole]

haNsaa haNsaa ke shab-e-wasl ashk_baar kiyaa
tasalliyaaN mujhe de-de ke beqaraar kiyaa

ham aise mahw-e-nazaaraa na the jo hosh aataa
magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa

fasaana-e-shab-e-Gam un ko ek kahaanii thii
kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa_aitabaar kiyaa

ye kis ne jalwaa hamaare sar-e-mazaar kiyaa
ki dil se shor uThaa haaye beqaraar kiyaa

taRap phir ai dil-e-naadaaN ki Gair kahate haiN
aaKhir kuchh na banii sabr iKhtiyaar kiyaa

[sabr=patience]

bhulaa bhulaa ke jataayaa hai un ko raaz-e-nihaaN
chhipaa chhipaa ke mohabbat ko aashakaar kiyaa

[raaz-e-nihaaN = hidden secret; aashakaar=reveal]

tumheN to waadaa-e-deedaar ham se karanaa thaa
ye kyaa kiyaa ke jahaaN ko ummeed_waar kiyaa

ye dil ko taab kahaaN hai ke ho maalandesh
unhone waadaa kiyaa ham ne aitabaar kiyaa

na poochh dil kii haqeeqat magar ye kahate haiN
wo beqaraar rahe jis ne beqaraar kiyaa

kuchh aage daawar-e-mahashar se hai ummeed mujhe
kuchh aap ne mere kahane kaa aitabaar kiyaa

[daawar-e-mahashar=the judge presiding on the day of judgement i.e. God] 
 
roTiyaaN - Nazeer Akbarabadi

jab aadamii ke peT meN aatii haiN roTiyaaN
phoolii nahiiN badan meN samaaatii haiN roTiyaaN
aaNkheN parii_ruKhoN se laRaatii haiN roTiyaaN
siine oopar bhii haath chalaatii haiN roTiyaaN

jitane maze haiN sab ye dikhaatii haiN roTiyaaN

roTii se jis kaa naak talak peT hai bharaa
karataa phire hai kyaa wo uchhal kood jaa ba jaa
diiwaar phaaNd kar ko_ii koThaa uchhal gayaa
ThaaThTha haNsii sharaab sanam saaqii is siwaa

sau sau tarah kii dhoom machaatii haiN roTiyaaN

jis jaa pe haaNDii choolhaa tawaa aur tanoor hai
Khaaliq ke qudaratoN kaa usii jaa zahoor hai
choolhe ke aage aaNch jo jalatii hazoor hai
jitane haiN noor sab meN yahii Khaas noor hai

is noor ke sabab nazar aatii haiN roTiyaaN

aawe tawe tanoor kaa jis jaa zabaaN pe naam
yaa chakkii choolhe kaa jahaaN gul_zaar ho tamaam
waaN sar jhukaa ke kiijiye DanDawat aur salaam
is waaste ke Khaas ye roTii ke haiN muqaam

pahale inhiiN makaanoN meN aatii haiN roTiyaaN

in roTiyoN ke noor se sab dil haiN poor poor
aaTaa nahiiN hai chhalanii se chhan chhan gire hai noor
peRaa har ek us kaa hai barfii-o-motii choor
har_giz kisii tarah na bujhe peT kaa tanoor

is aag ko magar ye bujhaatii haiN roTiyaaN

poochhaa kisii ne ye kisii kaamil faqiir se
ye mehr-o-maah haq ne banaaye haiN kaahe ke
wo sun ke bolaa baabaa Khudaa tujh ko Khair de
ham to na chaaNd samajhe na sooraj haiN jaanate

baabaa hameN to ye nazar aatii haiN roTiyaaN

phir poochhaa us ne kahiye ye hai dil kaa noor kyaa
is ke mushaahide meN hai khulataa zahoor kyaa
wo bolaa sun ke teraa gayaa hai sha_oor kyaa
kashf-ul-quloob aur ye kashf-ul-quboor kyaa

jitane haiN kashf sab ye dikhaatii haiN roTiyaaN

roTii jab aa_ii peT meN sau qand ghul gaye
gul_zaar phoole aaNkhoN meN aur aish tul gaye
do tar niwaale peT meN jab aa ke dhul gaye
chaudaa tabaq ke jitane the sab bhed khul gaye

ye kashf ye kamaal dikhaatii haiN roTiyaaN

roTii na peT meN ho to phir kuchh jatan na ho
mele kii sair Khwaahish-e-baaG-o-chaman na ho
bhooke Gariib dil kii Khudaa se lagan na ho
sach hai kahaa kisii ne ke bhooke bhajan na ho

allaah kii bhii yaad dilaatii haiN roTiyaaN

ab jin ke aage maal_puye bhar ke thaal haiN
poorii bhagat unhiiN kii wo saahab ke laal haiN
aur jin ke aage rauGanii aur shiir_maal hai
aarif wohii haiN aur wohii saahab kamaal haiN

pakii pakaa_ii ab jinheN aatii haiN roTiyaaN

kapaRe kisii ke laal haiN roTii ke waaste
lambe kisii ke baal haiN roTii ke waaste
baaNdhe ko_ii rumaal hai rotii ke waaste
sab kashf aur kamaal haiN rotii ke waaste

jitane haiN roop sab ye dikhaatii haiN roTiyaaN

roTii se naache piyaadaa qawaayad dikhaa dikhaa
asawaar naache ghoRe ko kaawaa lagaa lagaa
ghungharoo ko baaNdhe paik bhii phirataa hai naachataa
aur is ke siwaa Gaur se dekho to jaa ba jaa

sau sau tarah ke naach dikhaatii haiN roTiyaaN

duniyaa meN ab badii na kahiiN aur niko_ii hai
na dushmanii wa dostii na tund kho_ii hai
ko_ii kisii kaa aur kisii kaa na ko_ii hai
sab ko_ii hai usii kaa ke jis haath Do_ii hai

naukar nafar Gulaam banaatii haiN roTiyaaN

roTii kaa ab azal se hamaaraa to hai Khamiir
rookhii bhii roTii haq meN hamaare hai shahad-o-shiir
yaa patalii howe moTii Khamiirii ho yaa katiir
gehooN ju_aar baajare kii jaisii ho 'Nazeer'

ham ko sab tarah kii Khush aatii haiN roTiyaaN
 
kabhii yooN bhii aa merii aaNkh meN ke merii nazar ko Khabar na ho
mujhe ek raat nawaaz de magar us ke baad sahar na ho

[nawaaz - to grant]

wo baRaa raheem-o-kareem hai mujhe ye sifat bhii ataa kare
tujhe bhoolane kii duaa karooN to duaa meN merii asar na ho

[raheem-o-kareem - kind & generous; sifat - talent]

mere baazuoN meN thakii thakii abhii mahw-e-Khwaab hai chaaNdanii
na uThe sitaaroN kii paalakii abhii aahaToN kaa guzar na ho

ye Gazal ki jaise hiran kii aaNkhoN meN pichhalii raat kii chaaNdanii
na bujhe Kharaabe kii roshanii kabhii becharaaG ye ghar na ho

wo firaaq ho yaa wisaal ho terii yaad mahakegii ek din
wo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiraaG ban ke jalaa na ho

kabhii dhoop de, kabhii badaliyaaN, dil-o-jaaN se donoN qubool haiN
magar us nagar meN na qaid kar jahaaN zindagii kii hawaa na ho

kabhii din kii dhoop meN jhoom ke kabhii shab ke phool ko choom ke
yooN hii saath saath chaleN sadaa kabhii Khatm apanaa safar na ho

[shab - night]

mere paas mere habeeb aa zaraa aur dil ke qareeb aa
tujhe dhaRakanoN meN basaa looN maiN ke bichhaRane kaa kabhii Dar na ho

[habeeb - beloved] 
 
sochaaa nahiiN achhaa buraa dekhaaa sunaa kuchh bhii nahiiN - Bashir Badr

sochaaa nahiiN achhaa buraa dekhaaa sunaa kuchh bhii nahiiN
maaNgaa Khudaa se raat din tere siwaa kuchh bhii nahiiN

dekhaa tujhe sochaa tujhe chaahaa tujhe poojaa tujhe
merii Khataa merii wafaa terii Khataa kuchh bhii nahiiN

jis par hamaarii aaNkh ne motii bichhaaye raat bhar
bhejaa wahii kaaGaz use ham ne likhaa kuchh bhii nahiiN

ik shaam kii dahaleez par baiThe rahe wo der tak
aaNkhoN se kii baateN bahut mooNh se kahaa kuchh bhii nahiiN

do chaar din kii baat hai dil Khaak meN so jaayegaa
jab aag par kaaGaz rakhaa baaqii bachaa kuchh bhii nahiiN

ehasaas kii Khushboo kahaaN aawaaz ke juganoo kahaaN
Khaamosh yaadoN ke siwaa ghar meN rahaa kuchh bhii nahiiN 









Copyright (c) Rb Ansari 2012
Close

No comments:

Post a Comment