kal aur aaj
vo bhii kyaa log the aasaan thii raahe.n jin kii band aa.Nkhe.n kiye ik simt chale jaate the aql-o-dil Khvaab-o-haqiiqat kii na uljhan na Khalish muKhtalif jalve nigaaho.n ko na bahalaate the [Khalish=pain/prick; muKhtalif=different types] ishq saadaa bhii thaa beKhud bhii junuu.N_peshaa bhii husn ko apanii adaao.n pe hijaab aataa thaa phuul khilate the to phuulo.n me.n nashaa hotaa thaa raat Dhalatii thii to shiisho.n pe shabaab aataa thaa [hijaab=coyness] chaa.Ndanii kaif_asar ruuh_afzaa hotii thii abr aataa thaa to bad_mast bhii ho jaate the din me.n shorish bhii huaa karatii thii hangaame bhii raat kii god me.n muu.Nh Dhaa.Np ke so jaate the [kaif_asar=inducing intoxication; ruuh_afzaa=soul refreshing] [abr=cloud; bad_mast=intoxicated; shorish=tumult] narm rau vaqt ke dhaare pe safiine the ravaa.N saahil-o-bahr ke aa_iin na badalate the kabhii naaKhudaao.n pe bharosaa thaa muqaddar pe yaqii.n chaadar-e-aab se tuufaan na ubalate the kabhii [narm rau=gently moving; safiinaa=boat] [saahil=shore; bahr=sea; aa_iin=law/natural way] [naaKhudaa=oarsman; muqaddar=fate; aab=water] ham ke tuufaano.n ke paale bhii sataaye bhii hai.n barq-o-baaraa.N me.n vo hii shame.n jalaaye.n kaise ye jo aatish_kadaa duniyaa me.n bha.Dak uTThaa hai aa.Nsuo.n se use har baar bujhaaye.n kaise [barq=lightning; baaraa.N=storm; aatish_kadaa=conflagration] kar diyaa barq-o-buKhaaraat ne mahashar barpaa apane daftar me.n litaafat ke sivaa kuchh bhii nahii.n ghir gaye vaqt kii beraham kashaakash me.n magar paas tahaziib kii daulat ke sivaa kuchh bhii nahii.n [bukhaaraat=fevers/great heat; mahashar=day of judgement] [lataafat=elegance/pleasantness; beraham=merciless] [kashaakash=struggle; tahaziib=civilization/politeness] ye andheraa ye talaatum ye havaao.n kaa Kharosh is me.n taaro.n kii subuk narm ziyaa kyaa karatii talKhii-e-ziist se ka.Davaa huaa aashiq kaa mizaaj nigaah-e-yaar kii maasuum adaa kyaa karatii [talaatum=upheaval; Kharosh=loud noice/cry] [subuk=delicate (here it means dim); ziyaa=brilliance/shine] [talKhii-e-ziist=bitterness of reality/life; ka.Davaa=sour taste] safar aasaan thaa to manzil bhii ba.Dii raushan thii aaj kis darjaa pur_asaraar hai.n raahe.n apanii kitanii parachhaa_iyaa.N aatii hai.n tajallii ban kar kitane jalvo.n se ulajhatii hai.n nigaahe.n apanii [darjaa=grade/level; pur_asaraar=full of secrets/intricate/complex] [tajallii=bright light]
No comments:
Post a Comment