Popular Posts

Saturday, December 15, 2012

shikave ke naam se bemehar Khafaa hotaa hai

shikave ke naam se bemehar Khafaa hotaa hai
ye bhii mat kah ke jo kahiye to gilaa hotaa hai
[shikavaa=complaint]
pur huu.N mai.n shikave se yuu.N raag se jaise baajaa
ik zaraa chhe.Diye phir dekhiye kyaa hotaa hai
[pur honaa=to be filled (with)]
go samajhataa nahii.n par husn-talaafii dekho
shikavaa-e-jaur se sar-garm-e-jafaa hotaa hai
[husn-talaafii=beautiful way of forgiveness]
[shikavaa-e-jaur=complaint about torture/oppression]
[sar-garm-e-jafaa=busy in being unfaithful (torture to the lover)]
ishq kii raah me.n hai charKh-e-makaukab kii vo chaal
sust-rau jaise ko_ii aabalaa_paa hotaa hai
[charKh-e-makaukab=star-sudded sky]
[sust-rau=slow speed; aabalaa_paa=one who has blisters on the feet]
kyuu.N na Thahare.n hadaf-e-naavak-e-bedaad ke ham
aap uThaa laate hai.n gar tiir Khataa hotaa hai
[hadaf-e-naavak-e-bedaad=target of (arrow of) oppression/injustice]
[tiir Khataa honaa=misdirected arrow]
Khuub thaa, pahale se hote jo ham apane bad-Khvaah
ke bhalaa chaahate ha.n aur buraa hotaa hai
[bad-Khvaah=ill-wisher]
naalaa jaataa thaa pare arsh se meraa aur ab
lab tak aataa hai, jo aisaa hii rasaa hotaa hai
[naalaa=wailing/cry; pare arsh=beyond the skies][rasaa=reaches]

No comments:

Post a Comment