jaur se baaz aaye par baaz aaye.n kyaa
kahate hai.n ham tum ko muu.Nh dikhalaaye.n kyaa
[jaur=opression]
raat din gardish me.n hai.n saat aasmaa.N
ho rahegaa kuchh na kuchh ghabaraaye.n kyaa
[gardish=misfortune]
laag ho to us ko ham samajhe.n lagaav
jab na ho kuchh bhii to dhokaa khaaye.N kyaa
[laag=love/affection]
ho liye kyo.n naamaabar ke saath-saath
yaa rab apane Khat ko ham pahuu.Nchaaye.n kyaa
[naamaabar=messanger]
mauj-e-Khuu.N sar se guzar hii kyo.n na jaaye
aastaan-e-yaar se uTh jaaye.n kyaa
[mauj=wave; aastaan=abode ]
umr bhar dekhaa kiye marane kii raah
mar gae par dekhiye dikhalaaye.n kyaa
puuchhate hai.n vo ki "Ghalib" kaun hai
koii batalaao ki ham batalaaye.n kyaa

No comments:
Post a Comment