aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang dekhe.n kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak [daam = net/trap; mauj = wave; halqaa = ring/circle] [sad = hundred; nahang = crocodile; gauhar = pearl] aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab dil kaa kyaa rang karuu.N Khuun-e-jigar hone tak [sabr-talab=patient] ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin Khaak ho jaaye.nge ham tum ko Khabar hone tak [taGaaful=neglect/ignore] partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak [partav-e-Khuur = sun's rays; shabanam=dew] [fanaa = perish; inaayat = favour] yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak [besh = excess; Gaafil = ignorant] [raqs = dance; sharar = flash/fire] Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj shammaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak [juz = other than; marg = death]
No comments:
Post a Comment